Khwaishein!

 Khwaishein!


Kaise jee lete h log , apni puri zindagi , bina in khwaishion k. Mujse to ek pal nahi kat ta.

 

Or fir mai apni Maa ko dekhti hu, ye sab kuch dikhta hi nhi hai uske chehre pe , uske jeevan mai , jaise inki koi value hi nhi h , jaise ye jeene k liye important hi nhi hai. “

Kash muje ye mil jata, kash aisa ho jata, kash vaisa ho jata” , ye “kash” shabad maine kabhi suna hi nhi unke muh se. Han bure dino mai , hame gale se lagae hue , sisakte hue un hothon pe “ ye bhi beet jaega “ shabad to kayi bar aya par un ankhon mai “kash” shabd tab bhi nhi tha. 

Koi chahat , koi comparison, kuch mangte hue dekha hi nhi maine unhe kabhi, aisa lagta hai jaise unhe pta hi nhi h , ki aisa b kuch hota h , ki aisa bhi koi concept h , jahan log expect karte h , wish karte h ,ki ek silsila hai , unki is choti si dunia k bahar , jo kabhi rukta nhi h, kabhi thakta nhi h , bas chalte hi rehta h , khwaishon ka silsila.

 kya Maa ko iska pata hi nhi , ki vo bhi khawaishein kar sakti hai , uska bhi utna hi haq h , ki vo bhi temporary wish karke , “kash”soch k , khush ho sakti hai , vo bad ki bat hai , ki agar vo puri na ho , to dukh hota h , par vo kisne dekha h , expectations ka to sara khel wager pe hi tika h na , kise pta , kya hoga , jo tum chahte ho vo bhi to ho sakta h , to kya buraai hai?


sochti hu muje Maa ko iske bare mai btana chaie kya ? 

Par mai firse us chehre ki taraf dekhti hu , or mere sare doubts jaise gayab ho jate hai, us chehre ki chamak in khwaishon ki mohtaaz nahi hai, vo apne aap mai hi puri hai , vo apne aaj mai hi puri hai, use kal k lie dilasa nhi chahaie , use bas aaj k lie himmat cahie, jo juta leti hai vo, jisme mahir hai vo , zindagi jeene ka funda kuch aisa hai , ki beta “ one day at a time”. 

Vo muskurahat , vo kisi funny joke ya  good sense of humour ki mohtaaz bhi nhi h . vo bas hai . Mai jab bhi use dekhti hu , mai apne sare problems bhul jati hu , kyuki ek chehra meri taraf ek aisi nazar se dekhta h jisme vo tez hai , jo cheer k , ekdum andar jaata hai, ek hasta hua chahra , bina ksii vajah k , bas apne hone k lie , apni existence k lie , vo khushi . Aisa lagta hai , jaise apne har din ko vo shukriya kehti ho , ki use vo  jeene ko mila, koi pareshani dikkat kuch bhi jaise is muskurahat se bada nhi h , ye hogi to sab ho jaega . Sab acha hoga. 

Muje aisa banna hai . 

Muje meri Maa jaisa banna hai .

Comments

  1. Ma'am please write a blog on judiciary preparation through self study. Covering all the aspects like answer writing , book resources , notes making and all the others in which a Judiciary aspirant face problems

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

An end and A beginning ! (2023)

Delay in civil cases !

Addresses !