Problem !
Problem!
Kaam agar nhi toh, na hona problem hoti hai ,
Agar hai, toh jyada kaam problem hoti hai,
Agar jyada nahi toh kam paise problem hoti hai ,
Agar kam nhi to kharchna problem hoti hai ,
Agar kharch bhi kia , toh bachana problem hoti hai ,
Chalo bacha bhi lia ...
Toh fir se dauharana problem hoti h.
Jiske paas khana nhi , toh na hona problem hoti hai,
Hai to phir , banana problem hoti hai,
Bana bhi lia , toh khana problem hoti hai,
Kha bhi lia , toh pachana problem hoti hai,
Pacha bhi lia ....
Toh dauharana problem hoti h.
Akele hai , to akele problem hoti hai,
Kisi k sath hai , to uske sath problem hoti hai,
Reh bhi lie, to samjhana problem hoti hai
Samjh bhi gae, to nibhana problem hoti hai
Nibha bhi lia chalo...
To saat janamo ka fasana problem hoti hai.
Chup rahe to bolna problem hoti hai
Bol lia to bolna problem hoti hai
Jyada bole to kahin ye problem hoti hai
Kam bole to kahin vo problem hoti hai
Chalo tol bhi lia ,
Toh phir se ise dauharana problem hoti hai.
Khush nhi to khush rehna problem hoti hai
Agar khush hai to jatana problem hoti hai
Agar jata lia , to dikhana problem hoti hai
Agar dikha bhi dia , toh "kyu khush the " yaad rakhna problem hoti hai
Agar yaad bhi hai chalo...
Toh phir se ise dauharana problem hoti h !
Comments
Post a Comment