Realists vs hopeless romantics !!

Mai sochti thi mai bhot samjhdaar hu , sorted hu , 

lagta tha sab jaan gai hu. 

bada acha lagta tha ,

sochke,

apne aas paas dekh k ,

lagta tha jab mai ksii k sath hongi na 

to pure tarike se hongi 

koi parda nahi hoga , 

apna past present sab khol k rakh dungi ,

kyuki pyar to aise hi hota h na .

ek dusre ko puri trh janna .

tabhi to do se ek hote hain,

tabhi to lagta h vo insaan hami to hai 

or bina pyar k kaise rehte h 

ye to samjh se hi bahar tha 

lagta tha kaise kar lete hai log. 

ye to kitna ajeeb nhi hai .

aise kaise rehte h.

par mai badi proud. 

apne upar , apni soch k upar ,

bas intezar kar rahi thi us insaan ka 

jisse pyar ho jae 

bina kisi reason k , bina kisi condition k 

bas fir sab acha hoga. 

kuch bura nhi hoga. 

or fir hua muje , pyar , bina kisi reason k bina kisi condition k 

sab fairy tale meri , sab sach ,

jo socha tha vahi , 

kuch kuch cheeze hoti thi beech mai ,

par pyar se badhar thodi kuch hota hai 

bas yahi kehti rahi , chalti rahi 

chalte chalte itna door nikl gai 

ki pta hi nhi chala ki 'mai' kaha reh gai 

mai to 'vo' ban gai 

par vo 'mai' na bana 

uska abhi bhi ek vajood tha. 

vo ab bhi vo tha. 

mai na jane kahan gum gai .

dhundne ki koshish jab ki to 

pta chala bhot der ho gai hai 

fir mudke dekha tha koi nhi tha 

aage dekha to b koi nhi tha 

pyar to tha , lekin sirf muje. 

or tab ehsaas hua , kahin bhot galat kia ...

shyd sab kuch nhi btana tha ;

jaise usne nhi btaya .

shyd itna pyar nhi karna tha ;

haise usne nhi kia .

shyd muje b soch smj k rishte mai aage badhna tha ;

jaise vo badh raha tha .

shyd muj bhi apne ek part ko alg rakhna tha 

jaise usne rakha . 

par ye sab samjhte samjhte bhot der ho gai 

itni der ki ab vapis jaane ki naa to himaat hai na or na sab thk karne ki koi chahat. 


Tab ehsaas hua ,

 samjha ki muje rishte nibhana to aata hai ,

par chalana nhi aata. 


ab sochti hu ek aur mauka mile agr 

to shuruaat se shuru karu 

or is baar sab thk se karungi. 

is bar mai apna rishta chala paungi.

Comments

Popular posts from this blog

An end and A beginning ! (2023)

Delay in civil cases !

Addresses !